News

Artical Content Likh Kar Har Mahine $500 Online Kaise Kamaye


Paisa kamane ki chahat sabko hoti hai lekin caahat se paisa nahi kamaya jaa sakta hai balki paisa kamne ke liye aapko kuch karna hota hai. Aaj hum aapke liye ek bahut hi easy tarika laye hai online paisa kamane ke liye aur ye tarika hai content wrting ka. Yadi aapko likhna bahut pasand hai to aap dusare bade site par artical likh kar daily bahut sare paise kama sakte hai. india me bahut se aise log hai jo daily dusare ki website par artical likh kar har mahina laakho rupay kamate hai. Mai khud bhi dusare bade website par artical likh kar acche paise kamata hu.
Yadi aap bhi artical likh kar paise kamana caahte hai to iss tarah ke kaam ko karne ke liye aapko kuch jyada chizo ki jarurt nahi hoti hai Buss aapke pass ek computer/laptop aur internet conection hona cahiye aur iske sath sath aapko english me acchi tarah se likhna aana cahiye. yadi aapke pass ye 3 chize hai to aap apne artical writing ka job aaj se hi suru kar sakte hai aur artical likh kar acche paise kama sakte hai. Aapko koi bhi artical likhne se pahle ye jarur dhyaan dena hoga ki aapka artical english me hona cahiye aur aapka artical kahi se copy kiya hua nahi hona cahiye mtlab ki 100% uniqe hona cahiye. Aaj mai aapko kuch aise hi badiya aur high paying sites ke bare me bataoga jaha par aap apne artical ko likh kar sell kar sakte hai. mai jin sites ke bare me batane jaa raha hu woha par artical likh kar dene ke badle me aapko payment milta hai. Aap in sites me se kisi bhi sites par apne Artical ko sell karke paise kama sakte hai-



1- Squidoo.com-
Squidoo ek publishing platform aur community hai jaha par aap apne personal write-ups ko  website ke through share kar sakte hai. Squidoo par artical ko Lense or Pages bolte hai. jab aap koi Lense or Pages Squidoo par publish karege to Squidoo ki team aapke uss artical ko review karegi yadi aapka artical unke term and condition ke hisab se sahi hoga to woh aapko ek conformation msg send karege ki aapke dwara likha gaya artical approved ho gaya hai. phir usek baad Squidoo ki team aapke artical ko publish kar deneg. jab aapka artical publish ho jayega phir usek baad Squidoo aapke uss artical ke paise ko aapke paypal ke acount me send kar denge. Squidoo par kis tarah ke artical publish kar sakte hai aur uski term and condition kya hai in sabhi chizo ki jankari ke liye aapko Squidoo ki website par jaa kar cheack karna hoga.



2- hubpages.com
internet ki dunia me HubPages ek bahut hi papular website hai aur ye website bhi logo ko apne website par artical publish karne ke badle me paid karti hai. hubpages hmesa original and useful topic par hi artical accept karti hai. isliye yadi aap hubpages par apna artical likh rahe to aapka artical original hona ke sath sath logo ke liye useful bhi hona cahiye. habpages  Google AdSense,  Ad Program or affiliate programs  Amazon aur eBay products se paisa kamati hai. habpages aapke artical se hui kamai ka 50% aapko deti hai. mtlab yadi aapke artical se $100 ki kmai hui hai to hubpages aapko $50 dega. aap hubpages se kamaye hue paise ko apne paypal acount me transfer kara sakte hai.



3- epinions.com-
yadi aapko product ke review likhne me maza ata hai to  Epinions aapke liye ek aisa option hai jaha product ka review likh kar acche paise kama sakte hai.  Epinions ek aisi website hai jaha par aapko kisi bhi product ka  positive aur negative reviews likhna hota hai. Epinions har  product ke review me affillate program ka upyog karati hai mtlab ki agar aapke dwara likhe gaye product review se koi kuch buy karta hai to aapko affiliate commision ka ek bahut badiya amount  milega.  Epinions website me bahut se seo expert kaam karte hai jo aapke product review me seo karke usko search engine me top par laate hai taki uss review se jyada se jyada sell ho sake. Yadi aap india se hai to Epinions me minimum $10 hone par apne paypal acount me transfer kar sakte hai.


4-fiverr.com
verr ek online marketplace hai jaha par sab kuch $5 me buy and sell hota hai. yadi aap ek acche wrtiter hai to aap fiverr par apne writing skills or services ko $5 me sell kar sakte hai. jab aap apna service pura kar lenge to aapke client fiverr ko $5 dega jisme se fiverr $1 rakh lega aur baki ke $4 aapko aapne acount me transfer kar dega. jaha tak mera manana hai fiverr ek bahut hi badiya place hai artical likh kar paise kamane ka. internet par bahut se aise webmaster aur compnay hai jo content writer find karne ke liye fiverr ka upyog karte hai. fiverr par aap jo service dete hai usko GIG bola jata hai. yadi aap daily 2-3 artical 700-1000 word ke likh sakte hai to un 2-3 artical ki madad se aap daily $10-$12 fiverr ke dwaar aaram se kma sakte hai. isliye aaj hi fiverr par apna naya acount banaye aur apne artical writing service ko logo ko dena suru kar de. jitna jyada aapko offer milege utna hi jyada aap fiverr ke dwaar paise kamaye-



5- iwriter.com-
iwriter ek artical ka marketplace hai jaha par aap kisi bhi type ke artical likh kar publish kar sakte hai. agar aapke publish kiye gaye artical ko kisi ko jarurt padegi to woh aapse contect karega aur aapke uss artical ke price ke bare me deal karega. iwriter ek aisa place hai jaha par log apni pasand ke artical find karne ke liye ate hai. yadi aapka koi artical kisi ko pasand ata hai to woh aur artical likhne ke liye aapko offer dega. aapko uss client ko artical likh kar dena hoga jiss client ne aapko artical likhne ke liye aapko offer diya hai.  iwriter par har ek artical ka price content quality aur lenth ke hisab se rakh sakte hai.  iwriter bhi ek bahut badiya place hai apne artical ko sell karke paise kamane ka.



6- ContentMart (My Favorite)
Agar aap India se hai to Apko sabse pehle ContentMart ke sath kaam karna chahiye kyo ki ye company India se hai aur Delhi me iska office hai. Mai khud es company ke sath kaam kar chuka hu aur abhi bhi wahi se writers ko hire karta hu. yaha pe apka likh hua article bhi jaldi approve ho jata hai aur apko paise bhi bahut achhe milte hai jo sidha apke bank account me aa jata hai.

Yadi aap internet par apna jyada time spend karte hai to aapko internet upyog karne ke sath sath kuch paise kamane ke bare me bhi sochna cahiye. ab woh time khatm ho gaya hai jab log kahte the ki internet se paise nahi kamaya jaa sakta hai. aaj ke date me internet se paise 200 se bhi jyada tarike se kamaya jaa sakta hai. bus aap logo ko apni soch badlani hai. artical likh kar paisa kamana ek bahut aasan tarika hai internet se paise kamane ka. iss tarah ke kaam me aapko kisi bhi parkar koi investment bhi nahi karna hoga. bus aapke pass english ki acchi jankari ho aur uniqe aur orginal content likhna ata ho. yadi aap sahi tarike se artical ke dwara paisa kamane ke bare me soche to aap aaram se har month me $500-$1000 tak kama sakte hai.
aapko ye post kaisa laga iske bare aap apni advice humko jarur de. aur iss post ko apne dosto ke sath bhi share kare ho sakta hai aapke kisi dost me iss tarah ka kaam karna ata ho aur usko paise ki bhi jarurt ho. iss post ko aapko share karne me 2second lagega isliye plz  hmare liye aap apni life ka 2 secound barbaad karke iss jarur share kare-


 

No comments

Widget