Blog Banaye aur Sell Kare Paise Kamaye Guide In urdu Hindi
Aaj kal log ‘Internet se paisa kamane ka tarika’ keyword ko Google me bahut search kar rahe hai.
Lekin kya kisi ko aisa tarika mila ya kisi ne net se ghar bethe paise kama liye? Nahi na…
To chaliye aaj apko mai sikhata hu blog banakar aur bech kar kamane ka tarika.
Es post me ham sikhenge;
1. Free me blog banana
2. Uske baad us free blog ko Online sell karna aur paise kamane.
Kya kya chahiye hoga?
1. Ek Computer
2. Internet connection
3. Basic knowledge of Internet surfing.
Jade time na waste karte huye ham es training ko Aage badhate hai.
Jaise ki maine apko pehele bola ki sabse pehle ham free blog banayenge
aur fir use Internet pe sell karenge aur Paise kamayenge. To chaliye
sikhte hai Free me blog banana.
Free me Blog Kaise banaye?
Jaise ki maine apko hamari pichhli training me sikhaya tha ki ham
apni khud ki website kaise bana sakte hai, yaha bhi same poora wahi
process karna hai aur ham 1 ghante me apna Blog bana lenge.
Maze ki baat ye hai ki yaha blog banane ke baad hame blog ko update
karna ya traffic lana nahi hai, balki banane ke baad usko sell kar dena
aur paise kamane hai.
Ye ek bilkul hi naya tarika aur mai janta hu aap log es bahut pasand karoge.
To chaliye aage badhte hai.
1. Blog banane ke liye sabse pehle ham Blogger.com website ko open karenge.
2. Ab ham apna Email Id aur password daal kar login karenge.
3. “Add New Blog” pe click kare.
4. Apne blog ko Title de aur URL select kare.
5. Fir Template ko select kare aur “Create new blog” ke upar click kare.
6. Apka blog tayar hai.
Upar diye 6 steps ko live dekhne ke liye aap niche video ko follow kar sakte hai
7. Uske baad ab hame apne blog ko dot COM ya kisi aur TLD domain ke sath jodna hai.
8. Eske liye hame Domain buy karna hai use apne blog ke sath jodna hai.
Ab hamara blog ban chuka hai aur Sell karne ke liye taiyar hai.
Blog ko Sell kaise kare?
Paisa kamane ka sabse aasan tarike ko ab ham aage badhayenge aur sikhenge ki blog ko banane ke baad use sell kaise karna hai.
Yaha bhi ek maze ki baat hai ki apko apna blog sell karne ke liye
kisi ko email nahi karna hai ya na hi koi promotion karna hai. Eske liye
ek Website bataunga apko jo ek blogs ko buy sell karne ka ek
marketplace hai.Tip: Aapne blog ko Jaldi sell karne ke liye apko apke
blog ka price bahut hi low rakhna hai ($20-30) ke bich me. Means, aap
jitna kam price rakhenge utna jaldi apka blog sell hoga kyo ki koi bhi
buyer naye blog ke liye jade paisa nahi deta.Apne blog ki selling ke liye list karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.1. Sabse pehle Siteprice.org website ko open kare.
2. Ab “Buy & Sell” pe click kare uske baad aap apna account register kare.
3. Uske baad aap aasaani se apne blog ko sell karne ke liye list kar sakte hai. List karte time Siteprice apko apka blog verify karne ko bolega uske liye Siteprice khud apko ek HTML script dega.
4. Apko apne blog ke “Layout” option me jana hai fir kahi bhi “Add a gadget” pe click karna hai, apke samne ek Pop-Up window open hoga. Us window me se HTML/JAVASCRIPT option ko select kare aur us CODE ko paste kare aur save kare. Apka blog verify ho jayega.
5. Ab jaise hi koi buyer Interested hoga wo apki listing pe Bid karega, means wo batayega wo apko kitna dena chahta hai apke blog ko kharidne ke liye aur apko email bhi aa jayegi to aap aage ki baat-chit apne buyer se asaani se kar sakte ho aur apni deal complete kar sakte hai.
Mai umeed karta hu ki apko ye post pasand aya hoga. Es post ko padhne ke baad apna feedback jarur de.
Final Words:
Maine puri koshish ki hai mai apko achhe se ye Paisa kamane ka sabse aasan tarika bata saku. Lekin agar kahi na kahi koi galti ho gayi ho ya kahi pe apko kuchh samajh na aya ho ya koi pareshani ho raho ho to aap comment me apni problems ko likh kar puchh sakte hai. Ham apki puri help karenge.

No comments