Paisa kamana
har kisi ka ek sapna hota hai. lekin ye baat bhi sahi hai ki paisa
kamana koi aasan kaam nahi hai. sabhi log koi aisa aasan tarika find
karte hai jiske dwara woh kam menahat karke acche paise kama sake. jaha
tak baat hai onine paisa kamane ki to isme bahut se aise tarike hai
jiske dwara hum paise kama sakte hai lekin hmare samne problem ye hoti
hai ki hum kon se sahi tarika ko choose kare paise kamane ke liye. iss
post me mai aapko ek aisa bahut hi simple tarika bataoga jiske dwara aap
ghar par baith kar paise kama sakege. aaj mai onine paisa kamane ke
liye jiss method ko share karne jaa raha hu woh hai “upload files”.
internet par bahut se aisi website hai jaha par aap files ko upload
karke paise kama sakte ho. iss method me karna ye hota hai ki aapko kisi
bhi chiz ki koi files ko internet ke kuch website par acount bana kar
upload karna hota hai. aapke dwara upload kiye gaye files ko jab koi
download karta hai to aapko uske badle me paise milte hai. ye ek bahut
hi aasan method hai onine internet se paise kamane ke liye aur iss
method ka upyog koi bhi kar sakta hai. iss tarah ke kaam ko suru karne
ke liye aapko apna acount uss website par banana hota jo iss tarah ke
service ko offer karti hai. mai aapko kuch aise badiya aur top website
ke bare me batata hu jaha par aap apna acount banakar files ko upload
karna suru kar sakte hai. to chalo dosto dekhte hai ki woh kon kon si
website hai jaha par hum files ko upload karke paise kama sakte hai.
1- DepositFiles.com
DepositFiles ek bahut hi papular aur trsuted PPD ( pay per dowload)
website hai. ye ek bahut hi best aur secure place hai jaha par aap kisi
bhi tarah ke files, application, game, document ko upload kar sakte hai.
DepositFiles ka server ek bahut hi fast server hai. isliye ye aapke
dwara upload kiye gaye files ko bahut hi fast download karta hai. yadi
aapke dwara upload kiye gaye files ko koi download karta hai tab aapko
$0.03 per download milta hai. iss website me aap 2GB tak ki fies ko
upload kar sakte hai. jab aapke acount me $10 ho jate hai tab aap usko
paypal ke dwara payout kar sakte hai. iske sath sath iss website me
referral method bhi hai jaha par aap 20% tak ka commision paa sakte hai.
isliye hum kah sakte hai ki aap iss website par files ko upload karke
acche paise kama sakte hai. yadi aapke dwara upload kiye gaye files ko
1000 baar download kiya jaye tab aapko 1000 download par $30 tak milta
hai.
2- ShareCash.org-
ShareCash ek revolutionary aur best PPD website hai. iss website ki
suruwaat 2009 me hua tha. ShareCash har prakar ki files ko upload karne
ka option deta hai. ye ek bahut hi papular website hai. iss website ki
papularty hum iss baat se laga sakte hai ki iska alexa rank bahut hi kam
hai. iss website me kuch aise feature hai jo aapke man ko jeet lenege.
iss website ke feature aapko jyada earning karne me madad karte hai. iss
website ki ek khass baat ye hai ye bahut hi high commision deta hai.
iss website par aap $30 hone par hi payout kar sakte hai. apne paise ko
payout karne ke liye aap paypal yaa phir wire transfer ka upyog kar
sakte hai. ye website aapke dwara upload kiye gaye files ke 1000 downoad
par $40 tak deta hai. isliye ye bhi ek accha website hai files upload
karke paise kamane ka.
3- Uploading.com-
Uploading.bhi ek bahut hi papular website hai importent document ko
share aur host karne ke liye. ye ek bahut hi badiya platform hai jaha
par aap apne desktop aur mobile se files ko uploading karne ke liye. iss
website ki alexa rank 3000 hai. iss website ki alexa rank hi ye kitna
papular hai ye batati hai.ye website bina kuch track kiye hue har ek
country ke logo ko ye offer deti hai ki woh apne document ko upload
karke paisa kama sake. ye website aapko per download files par $0.02
deti hai. iss website ki madad se aap apne document ko dusare ke pass
aasani se send kar sakte hai. iss website me aapko 20% commision milta
hai. aur aap apne acount ke payment ko $30 hone par paypal yaa phir wire
transfer ke dwara payout kar sakte hai. Uploading aapke liye best place
hai apne files ko upload karke paise kamane ke liye.
No comments